Teri aazmaishon se hun bekhabar,
ye meri nazar ka qasoor hai..
meri raah mein qadam qadam
kahin arsh hai kahin zahoor hai
ye bjaa hai Maalik-E-do Jahan
meri bandagi mein fatoor hai
ye khata hai meri khata magr
tera naam bhi to GHAFOOR hai,
ye bta mai tujhse milun kahan?
mujhe tujhse milna zaroor hai
kahin dil ki shart na daalna
abhi dil gunaahon se choor hai,,
tu bakhsh de mere sab gunaah
tu RAHEEM hai,Tu GHAFOOR hai..!!
No comments:
Post a Comment